Deewana banana hai to
deewana bana de...
(Behzad Lakhnavi)
Deewana banana hai to deewana bana de
varna kahin taqdeer tamasha na bana de

Aye dekhne waalon mujhe hans hans ke na dekho
tumko bhi kahin mohabbat mujh sa na bana de

Main dhoond raha hoon jisko meri vo shamma kahan hai
jo bazm ki har cheez ko parwaana bana de

Akhir koi soorat to ho khana-e-dil ki
Kaba nahin banta hai to butkhana bana de

‘Behzad’ har ek gaam pe ek sajda-e-masti
har zarre ko sang-e-dar-e-jana na bana de
Hamri atariya pe
aao sanwariya...
(Traditional composition)
Hamri atariya pe aao sanwariya
dekha dekhi balam hui jaaye

Tasavvur mein chale aate ho
kuchh baatein bhi hoti hain
shab-e-furqat bhi hoti hai
mulaqatein bhi hoti hain

Hamri atariya pe...

Prem ki bhiksha maange bhikharan
laaj hamaari rakhiyo saajan
aao saajan tum hamre dware
saara jhagda khatam hui jaaye

Hamri atariya pe...
Ulti ho gayin sab
tadbeerein...
(Mir Taqi Mir)
Ulti ho gayin sab tadbeerein kuchh na dawa ne kaam kiya
dekha iss beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya

Ahad-e-jawaani ro ro kaata, peeri mein li aankhein moond
yaani raat bahut thay jaage, subah hui aaraam kiya

Yaan ke sapaid-o-siyaah mein humko dakhl jo hai so itna hai
raat ko ro ro subah kiya aur subah ko jun tun shaam kiya

'Meer' ke deen-o-mazhab ko ab poochhte kya ho un ne to
kashqaan khaincha, dayr mein baitha, kab ka tark Islam kiya
Aye mohabbat tere anjaam
pe rona aaya...
(Shakeel Badayuni)
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya

Yun toh har shaam umeedon mein guzar jaati thi
aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aaya

Kabhi taqdeer ka maatam kabhi duniya ka gila
manzil-e-'ishq mein har gaam pe rona aaya

Jab hua zikr zamaane mein mohabbat ka 'Shakeel'
mujh ko apane dil-e-naakaam pe rona aaya
Top